Beyoparee

Jald aa raha hai

Har bazaar.
Har dukaan.

Pakistan ke bazaar online aa rahe hain. Launch se pehle apni dukaan free mein list karein, taake pehle din se customer aap ko dhoond saken.

+7

1,375 dukaanein judi chuki hain

Rawalpindi, Karachi, Lahore aur 12 aur shehar

15 shehar · 94 bazaar · 1,375 dukaanein

Sirf 4 qadam

Aaj hi dukaan online karein

  1. Account banayein

    Naam, email aur password.

    1 minute
  2. Dukaan kholein

    Naam, bazaar, WhatsApp number aur ek photo. Bazaar nahi mila? Wahin request karein.

    2 minute
  3. Ek product daalein

    Photo, naam aur daam. Baqi jab chahein.

    1 minute
  4. Review, phir live

    Hamari team har dukaan 24 ghante mein check karti hai. Launch ke din aap ki dukaan sab ke saamne.

    24 ghante ke andar
Aap ke customer, aap ki deal

Customer aap ko dhoondta hai, aur seedha message karta hai

Buyer aap ki dukaan ya product dekhta hai, WhatsApp dabata hai, aur message seedha aap ke phone par. Beech mein koi nahi, koi commission nahi.

  • Message mein pehle se likha hota hai ke woh kya dekh rahe thay
  • Customer ka number aap ke paas rehta hai
  • Koi nayi app seekhne ki zaroorat nahi
Haji Tariq Fabricsonline
Salaam! Beyoparee par aap ki dukaan mein "Lawn 3-piece" dekha. Rate aur stock bata dein?
Wa alaikum salaam! Ji available hai, 2,450 per suit. Kitne chahiye?
5 suit chahiye, kal aa jaun dukaan par?
Beyoparee se aaya message
Aap ko kya milta hai

Poori dukaan, ek page par

Apna shop page

Logo, photos, pata aur apna link jo customers ko bhej sakein.

Products aur daam

Jitne chahein products, photos, daam aur size ke saath.

Customer seedha WhatsApp par

Har message seedha aap ke number par.

Verified badge

Hamari team dukaan check karti hai; badge se customers ka bharosa barhta hai.

Sab kuch phone se

Jis phone par WhatsApp chalate hain, usi se dukaan chalayein.

Bilkul free

Dukaan list karne ka koi paisa nahi.

Hum aap ke shehar aa rahe hain

Sab 15 shehar
  • JaldKarachi28 bazaar
  • JaldLahore20 bazaar
  • JaldPeshawar9 bazaar
  • JaldRawalpindi7 bazaar
  • JaldFaisalabad7 bazaar
  • JaldIslamabad7 bazaar
  • JaldSialkot5 bazaar
  • JaldMultan3 bazaar
FAQ

Dukaandar aksar yeh poochte hain

Nahi. Jis phone par WhatsApp chalate hain, usi par poori dukaan chalayein.

Launch se pehle apni dukaan list karein

Sirf WhatsApp number chahiye. 2 minute, aur aap launch ke din ke liye tayyar.

Apni dukaan list karein